Sunday, August 19, 2012

My favorite movie dialogs

Guess the movie names!


1. Unhe pata chalega ki ye raaz tum jante ho to woh samjhenge ki Maine adharma kiya hai.

Par bete, mere liye dharma wahi hi jo mahabharat me bhishma pitamah ne kaha tha-Dharmah matibhya udhritah.

Dharma wohi hai jo mati se janma leta hai
Dharma wohi hai jo buddhi se janma leta hai
Dharma wohi hai jo tumhare dil, tumhare man ko sachha lagta hai
Dharma wohi hai jo tumhari aatma ko sachha lagta hai

Maine apna dharma nibhaya hai, agar tumhari mati tumhe izazat deti hai bete, mujhe vachan do tum apne pita ka khyal rakhoge.

2. kahte hain shadi ki buniyaad be-entehan mohabbat honi chahiye, aur kuchh nahin. Kyon ki buniyad galat ho to rishte toot jate hain.

3. Ria aur main college ke dost the, fir humne socha, apni dosti ko ek aur naam de dete hain.Waise bhi ek dost ke sath poori zindagai bitane se behtar aur kya ho sakta hai. Kabhi kabhi dosti mohabbat ki jagah le leti hai aur fir mohabbat ke liye jagah hi nahin rahti.

4. Maya: kya baat hai, rishta sambhala nahin jata, no passion, no drama, achhi biwi nahin hoon, maa nahin ban sakti, itni kamiyan hain mujhme to chhod kyon nahin dete

Rishi: Kamiyan to hum donon mein hai Maya. Fark bas itna hai tum hamesha rishta todne ki baat karti ho, main jodne ki.

5. Don't forget I am also just a girl standing in front of a boy asking him to love her.

6. If I were the man I was five years ago I'd take a FLAME-THROWER to this place!

Not sure if this is from a movie:

सिर्फ हंगामा खड़ा करना मेरा मकसद नहीं,
सारी कोशिश है की ये सूरत बदलनी चाहिए
मेरे सीने में न सही तेरे सीने में सही,
हो कहीं भी आग, लेकिन आग जलनी चाहिए

No comments: